whatsapp Add Group

Tuesday 27 December 2016

Android Smartphone Root Kaise Kare

·

Agar ap android smartphone user hai to apne root sabd to kahi bhi suna hoga,android operating system me kai ayse apps hai jo unrooted smartphone me install nahi hote hai ayse apps ko android mobile me install karne ke liye smartphone ko root karna padta hai



India me kai sare ayse log hai jiske pass laptop ya computer nahi hota hai aur android smartphone ko root karne ke liye is dono me se ek ki jarurat padti hai Is post me apko ek aysi trick batata hu jisse ap apna android smartphone ko without pc root kar sakte ho

Android Smartphone Ko Without Computer Kaise Root Kare

Android smartphone ko bina computer root karna bahut asan hai iske liye apko ye simple step follow karne hai

Step-1


Sabase pahle ap play store me se Kingroot application download karke apne smartphone me install kare

Step-2


App ko install karne ke bad usko open kare aur Start Root ke option me click kare


Step-3


Root ke option me click karte hi rooting process start hogi

Step-4


100% ho jayege tab apki rooting process complete ho jayegi aur apka android smartphone bhi root ho gaya hoga aur ap smartphone ko ek bar Restart kare
Android Smartphone Root Hua He Ya Nahi  Uska Pata Kaise Kare

Android smartphone root hua hai ya nahi uska pata karne ke liye


1) ap apne smartphone me Es file manager application install kare aur use open kijiye

2)Ab left corner me menu ke option me touch kare

3)Ab menu open hoge usme Tools ke option me touch kare

4)Ab niche jo menu show hoge isme Root ka option hoga use on kare

5)Agar Root ka option on ho jata hai to apka smartphone root ho gaya hai aur ap isme ap koi bhi apps install kar sakte ho

To,friend ap bhi is post ke step follow karke apne android smartphone ko without PC root kar sakte ho

I hope apko ye post pasand ayi hai aur use social media me share karna na bhule aur is post se related koi bhi sawal hai to ap muje comment karke puch sakte ho me iska answer jald se jald dunga.

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner